Lyrics Of BOONDH - JAL THE BAND (3)

LYRICS OF LAST 3 SONGS ARE HERE....

MAHIYA

mahiya..
le le dard sare de de khushiyan
mahiya..
jeele zindagi ka har pal apna
mahiya...

ho jab ankh khuli anjaan tha
apne andar gumnam tha
nayi duniya ke naye log mile
is duniya mein tera pyar na tha

mere dil gata ja tu ker na intezar
kabhi ayega woh yaar jiska tha intezar
tu hi gaata ja aur ched saare taar
kabhi ayega woh yaar jiska tha intezar

mahiya..
le le dard sare de de khushiyan
mahiya
jeele zindagi ka har pal apna
mahiya...

dukh sukh mere ban jate hain
jab ghum mere ger baante koi
her dard mujhey bhul jata hai
jab yaar ho mere sath sabhi

mere her pal ki hai ik nayi daastan
ik nayi hai subha ik naya aasman
thodi masti hai thoda dil deewana
nahin dil hai ab mera koi veerana...

dil bherta nahin rukta nahin
anjani rahon per chalta hai
jana ik din hai is duniya se
jeele pal do pal hum yeh zindagi

ho ho ho ho
ho ho ho ho
ho ho ho ho
ho ho ho ho

mere dil gata ja tu ker na intezar
kabhi ayega woh yaar jiska tha intezar
tu hi gaata ja aur ched saare taar
kabhi ayega woh yara jiska tha intezar

mahiyaaaa.....
mahiyaaaa....


HUMEIN ITNA PYAR

Humein...itna pyar
na karo ki hum mar jayein..
Humein..itna tanha
na karo ki jee na payein..

koi dil ka karar jane na..
koi mann ki yeh baat baatae na
koi ankhon hi ankhon mein kehde yeh baat
chal chalein us paar jahan koi na ho
sab khushiyan ho paas sitam na ho
aur sitaron se kerte rahein hum baat
kya yahi hai khata pyar maine kiya
ab yun na satao mere piya..
tu hi mera dildaar
tu dil ka karar
nahin is baat se mujhey koi inkaar

kabhi..
kabhi tum yaad..aate ho...
to dil bhar aaye..
yeh kaisa...
hai khumar
jo kam na ho
aur badhta jaye...


dekha hai her mausam teri ankhon mein
beeta hai her lamha teri saanson mein
yeh sansein to teri amanat hai..
kuch ajab hai yeh haal mere seene mein..
haan per hai sur aur taal mere jeevan mein
bass isi jeevan se hai mujhey thoda pyar
teri aahat hai..sarsarahat hai
kuch aur nahin yeh chahat hai
nainon se nainon ko takke phir
tumhein aankhein churane ki addat hai

humein itna pyar
na karo..ki hum marr jayein
humein..itna tanha...
na karo ki jee na payein...


YE MERA PAKISTAN


yunhi hanste gaate rahe
yunhi geet sunate rahe
baazi her ik lejate rahe
khushiyan hum nibhate rahe
yunhi hanste gaate rahe
yunhi geet sunate rahe
baazi her ik lejate rahe
khushiyan hum nibhate rahe

per khel na tum is azm se
lejaenge baazi kasm se
tumhi jeetoge maidan
chu loge tum aasman
jazbaa rakhna hai rawan..
aage badhan hai jawan
yeh tera paksitan..
yeh mera pakistan

jaon jis des mein bhi kabhi
yaad aye hai mujhko teri
kuch aesi hai shan teri
jo dekhi kabhi na kahin

jaon jis des mein bhi kabhi
yaad aye hai mujhko teri
kuch aesi hai shan teri
jo dekhi kabhi na kahin

to mana lo rehna yahin hai
apnon se bichadan nahin hai
tumhi jeetoge yeh maidan
chu loge tum aasman
jazba rakhna hai rawan
aage badhna hai jawan..

yeh tera paksitan..
yeh mera pakistan

ger aye mushkil kabhi bhi
tu aaker mil ke sabhi...
jo deta hai jeet tumhein
kerna uska hai aetbaar
girker uthna hai mere yaar

yeh tera paksitan..
yeh mera pakistan

0 comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails

Thanks For Visiting

If you liked this post or blog then,feel free to LIKE the Facebook page or Subscribe It By E-mail.....THANKS



Subscribe in a reader



Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Visit BlogAdda.com to discover Indian blogs

Blog Archive

  © THE MUZIC WORLD by Shaan Haider 2010

Back to TOP